Mobi Groups
Download Free Apps & Games @ PHONEKY.com

TEHREEK-E-ISLAM - Topics
Create Your Own App Store

* TEHREEK-E-ISLAM > Topics


Subject: DAROOD-E-PAK K MADANI PHOOL
Replies: 0 Views: 685

mahtab12 12.11.11 - 09:26am
1.ALLAH K HUKAM KI TAMEEL HOTI HAI.

2.AIK MARTABA DAROOD SHAREEF PERHNAY WALAY PER 10 REHMATAIN L HOTI HAIN.

3.US K 10 DARJAAT BULAND HOTAY HAIN .

4.US K LYE 10 NAYKIYAAN LIKHI JATI HAIN.

5.US K 10 GUNAH MUAAF KIYE JATAY HAIN.

6.DUA SAY PEHLAY DAROOD SHAREEF PERHNA DUA KI QABOLIYAT KA BA'EES HAI.

7.DAROOD SHAREEF PERHNA NABI-E-REHMAT(S.A.W.W) KI SHIFAAT KA SABAB HAI.

8.DAROOD SHAREEF PERHNA GUNAHON KI BAKHSAS KA BA'EES HAI.

9.DAROOD SHAREEF K ZARIYE ALLAH BANDON K GHAMON KO DOOR KRTA HAI.

10.DAROOD SHAREEF PERHNAY K BA'EES BANDA QIYAMAT K DIN RASOOL-E- AKRAM(S.A.W.W) KA QURB HASIL KRAY GA.

11.DAROOD SHAREEF DANG DAST K LYE SADQA K QAIM MUKAAM HAI.

12.DAROOD SHAREEF QAZA-E-HAJAAT KA ZARIYA HAI.

13.DAROOD SHAREEF ALLAH KI REHMAT AUR FARISHTON KI DUA KA BA'EES HAI.

14. DAROOD SHAREEF APNAY PERHNAY WALON K LYE PAKEEZGI AUR TAHARAT KA BA'EES HAI.

15.DAROOD SHARREF SAY BANDAY KO MOUT SAY PEHLAY JANAT KI KHUSHKHABRI MIL JATI GI.

16.DAROOD SHAREEF PERHNA QIYAMAT K KHATRAAT SAY NIJAAT KA SABAB HAI.

17.DAROOD SHAREEF PERHNAY SAY BANDAY KO BHOLI HOWI BAAT YAAD AJATI HAI.

18.DAROOD SHAREEF MAJLIS KI PAKEEZGI KA BA'EES HAI AUR QIYAMAT K DIN YE MAJLIS BA'EES HASRAT NHI HOGI.

19.DAROODF SHAREEF PERHNAY SAY FAQAR(DANGDASTI) DOR HOGI.

20.YEH AMAL BANDAY KO JANAT K RASTAY PER DAAL DETA HAI.

21.DAROOD SHAREEF PUL-E-SEERAT PER BANDAY KI ROSHNI MAIN IZAFA KA BA'EES HAI.

22.DAROOD SHAREEF K ZARIYE BANDA ZULM O JAFA SAY NIKAL JATA HAI.

23.DAROOD SHAREEF PERHNAY KI WAJA SAY BANDA AASMAN AUR ZAMEEN MAIN QABIL-E-TAREEF HO JATA HAI.

24.DAROOD SHAREEF PERHNAY WALAY KO IS K AMAL KI WAJA SAY US KI ZAAT ,AMAL,AUR BEHTARI K ASBAAB MAIN BARKAT HASIL HOTI HAI.

25.DAROOD SHAREEF REHMAT-E-KHUDA WANDI K HASOOL KA ZARIYA HAI.

26.DAROOD SHAREEF AP(S.A.W.W) SAY DAYIMI MUHABAT AUR IS MAIN ZIYADAT KA SABAB HAI.

27.DAROOD SHAREEF PARHNAY WALAY SAY AP(S.A.W.W) MUHABAT FARMATAY HAIN.

28.DAROOD SHAREEF PERHNA,BANDAY KI HIDAYAT AUR IS KI ZINDA DILI KA SABAB HAI KYON K JAB WO AP(S.A.W.W) PER KASRAT SAY DAROOD PERHTA HAI AUR AP(S.A.W.W) KA ZIKER KRTA HAI TU AP(S.A.W.W) KI MUHABAT US K DIL PER GHALIB AJATI HAI.

29.DAROOD SHAREEF PERHNAY WALAY KA YEH B AIZAAZ HAI K SULTAN-E-INAAM(S.A.W.W) KI BARGAAH MAIN US KA NAAM PAISH KIA JATA HAI AUR US KA ZIKER HOTA HAI.

30.DAROOD SHAREEF PUL-E-SEERAT PER SAABAT QADMI AUR SALAMTI K SATH KA BA'EES HAI.

JILA UL AFHAAM P 246,
MADANI PUNJSURAH P 165 TO 167. *


* Reply
* TEHREEK-E-ISLAM Forum


Search:
topics replies


* TEHREEK-E-ISLAM

Create Your Own App Store

topTop
groupsGroups
mainProdigits

Create Your Own App Store